Qatl Ushshaq Kiya Karte Hain
qatl ushshaq kiya karte hain
but kahan KHauf-e-KHuda karte hain
sar mera tan se juda karte hain
dard ki aap dawa karte hain
aatish-e-gham ne magar phunk diya
dil se shole jo uTha karte hain
jama-e-surKH tera dekh ke gul
pairahan apna qaba karte hain
KHun rote hain chaman mein bulbul
hum gulon se jo hansa karte hain
KHam-e-abru-e-sanam ko dekhen
hum ye kabe mein dua karte hain
apne saqi ko shab-e-furqat mein
pani pi pi ke dua karte hain
roz do-chaar ka KHun karta hai
dast-o-pa surKH raha karte hain
mar gae par hadaf-e-tir hai KHak
ja-ba-ja tode bana karte hain
dahan-e-zaKHm se hum qatil ke
tegh ko chum liya karte hain
shor-e-mahshar se Daren kya aashiq
aise hangame hua karte hain
hote hain dil mein nihayat nadim
KHun jo be-jurm kiya karte hain
mehndi malne ke bahane qatil
kaf-e-afsos mala karte hain
ewaz-e-baada gham-e-saqi mein
KHun-e-dil apna piya karte hain
panw tak hath na pahuncha us ki
hath haihat mala karte hain
jo hamein bhul gaya hai zalim
us ko hum yaad kiya karte hain
na-tawani ne diye par hum ko
jiwan-e-par-e-kah uDa karte hain
hum bane chand ke haale 'goya' hain
gird us mah ke raha karte hain
(928) Peoples Rate This