Nazzara-e-ruKH-e-saqi Se Mujhko Masti Hai
nazzara-e-ruKH-e-saqi se mujh ko masti hai
ye aaftab parasti bhi mai-parasti hai
KHuda ko bhul gaya mahw-e-KHud-parasti hai
tu aur kaam mein hai maut tujh pe hasti hai
na gul hain ab na wo saqi na mai-parasti hai
chaman mein meinh ke ewaz be-kasi barasti hai
ye mulk-e-husn bhi jaanan ajib basti hai
ki dil si chiz yahan kauDiyon se sasti hai
mah-e-siyam mein go mana-e-mai-parasti hai
magar hun mast ki har roz faqa-masti hai
ye be-sabaat bahaar-e-riyaz-e-hasti hai
kali jo chaTki to hasti par apni hansti hai
bas ek raat ka mehman charagh-e-hasti hai
sirhane roegi ab shama gor hansti hai
dila ye gor-e-ghariban bhi zor basti hai
bajae abr yahan be-kasi barasti hai
gaya jo yan se tah-e-KHak wo kabhi na phira
zamin ke niche bhi dilchasp koi basti hai
naha ke baal nichoDe to yar kahne laga
ghaTa siyah isi tarah se barasti hai
bas ek hath mein do TukDe kar diya hum ko
hamare yar ki ek ye bhi tez-dasti hai
kiya hai chaak gareban subh-e-mahshar tak
ye apne josh-e-junun ki daraaz-dasti hai
hamein to qatl kiya bas isi nazakat ne
ki wo uThati hain tegh aur nahin ukasti hai
dikha ke phul se chehre ko dil liya KHush ho
jo badle gul ke mile andalib sasti hai
ab ek tauba pe aati hai maghfirat tere hath
KHarid kar ki nihayat ye jins sasti hai
dikhae jis ne ye surat hamein dam-e-aKHir
usi ko dekhne ko ruh ab tarasti hai
na TuTi shisha-e-mai meri sang-e-marqad se
pas az fana bhi mujhe pas-e-mai-parasti hai
asir kar ke hamein KHush na hoiyo sayyaad
ki tu bhi yan to giraftar-e-dam-e-hasti hai
ajab nahin dam-e-isa se bhi jo gul ho jate
ki sham-e-subh hamara charagh-e-hasti hai
wo mangta hai meri jaan ru-numai mein
yahi jo mol hai to jins-e-husn sasti hai
kiya hai us ne to yusuf ka chaak daman-e-pak
na puchho ishq ki jo kuchh daraaz-dasti hai
kahun main wahi hai saqi wahi subu wahi jam
mudam-e-baada-e-wahdat ki mujh ko masti hai
alam hai tegh-e-do-dam taire sar jhukae hun main
teri gali mein bhi zalim bulandi pasti hai
jo chahe rahmat-e-haq ijz kar shiar apna
rawan udhar ko hai pani jidhar ko pasti hai
safed ho gai mu-e-siyah ghaflat chhoD
hui hai subh koi dam charagh hasti hai
har ek jawan ka qad KHam hua hai piri se
maal-e-kar bulandi jahan mein pasti hai
wo apni jumbish-e-abru dikha ke kahta hai
ye wo hai tegh ishaaron hi se jo kasti hai
che KHush bawad ki bar aayed bek karishma do kar
sanam baghal mein hai dil mahw-e-haq-parasti hai
hai KHub pahle se 'goya' karun main tark-e-suKHan
ki ek dam mein ye KHamosh sham-e-hasti hai
(896) Peoples Rate This