Munh Dhanp Ke Main Jo Ro Raha Hun
munh Dhanp ke main jo ro raha hun
ek parda-nashin ka mubtala hun
kya hijr mein na-tawan hua hun
tinka na uThe wo kahruba hun
teri si na bu kisi mein pai
sare phulon ko sunghta hun
bulbul hai chaman mein ek hamdard
main bhi kisi gul ka mubtala hun
aaina hai jism-e-saf us ka
kyunkar na kahe main KHud-numa hun
kahta hai ye mushtari falak par
yusuf tere hath mein bika hun
ruKHsar wo rakh ke so gaya tha
gul takyon ko roz sunghta hun
KHat likh ke jo hai talash-e-qasid
manind qalam main phir raha hun
mar jaan kahi dekh dekh wo hath
mehndi ki tarah main pis gaya hun
itni tu jafaen kar na ai but
aaKHir main banda-e-KHuda hun
ab to mujhe ghaib-dan kahen sab
main teri kamar ko dekhta hun
'goya' hun waqt ka suleman
pariyon par hukm kar raha hun
(747) Peoples Rate This