Lab-e-jaan-baKHsh Pe Dam Apna Fana Hota Hai
lab-e-jaan-baKHsh pe dam apna fana hota hai
aaj isa se ye bimar juda hota hai
zulf ko dast-e-hinai se jo chhuta hai wo shoKH
to giraftar wahin dard-e-hina hota hai
tha giraftar-e-shab-o-roz nigahbani mein
hum jo ab chhuTen hain sayyaad riha hota hai
phir bahaar aati hai ai KHar-e-bayaban KHush ho
aaj kal phir guzar aabla-pa hota hai
mar gae hum to saba lai jawab-e-nama
wahi hota hai jo qismat mein likha hota hai
(780) Peoples Rate This