Kya Hain Shaida-e-qadd-e-yar DaraKHt
kya hain shaida-e-qadd-e-yar daraKHt
hain jo shabnam se ashk-bar daraKHt
dekhen gar sarw-qad-e-yar daraKHt
KHak par loTen saya-dar daraKHt
ashk-bar un pe hain jo murgh-e-chaman
pahne hain motiyon ka haar daraKHt
sar-kashi ki hai kya tere qad se
kaTe jate hain be-shumar daraKHt
kya tere qad se dun misal use
ki hai angusht zinhaar daraKHt
tere jalwe se naKHl-e-tur bane
hain jo baala-e-kohsar daraKHt
bed-e-majnun ko dekh o laila
hai ye majnun ka yaadgar daraKHt
dekh kar tujh ko bhul jaenge
gul khilaenge be-bahaar daraKHt
zindagi mein na main ne phal paya
ho na mere sar-e-mazar daraKHt
faeda bhi yahan to nuqsan hai
sang khate hain bar-dar daraKHt
dagh-e-tan khil rahe hain surat-e-gul
hum hain goya shagufa-dar daraKHt
(806) Peoples Rate This