Kis Qadar Mujhko Na-tawani Hai
kis qadar mujh ko na-tawani hai
bar-e-sar se bhi sargirani hai
chashm-e-tar se jo KHun-fishani hai
nawak-e-ishq ki nishani hai
sare quran se us pari-ru ko
yaad ek lafz-e-lan-tarani hai
jab hua rutba-e-fana fillah
gham nahin gar jahan-e-fani hai
hai har ek sher yar ki taswir
fikr apni KHayal-e-mani hai
kyun na hon aashiq-e-lab-e-jaanan
chashma-e-ab-e-zindagani hai
us ki raftar ke likhe hain jo wasf
kya meri taba mein aati hai
naseha aashiqi mein rakh mazur
kya karun aalam jawani hai
kis se dun us sanam ko main tashbih
kab KHudai mein us ka sani hai
na meri zaKHm par rakho marham
mere qatil ki ye nishani hai
sar kaTaenge shama san KHamosh
gar yahi apni be-zabani hai
hum nahin shama hon jo ashk-fishan
kar-e-ushshaq jaan-fishani hai
munh ne ghar mein mere rakkha us ko
ye bhi taid-e-asmani hai
dil bhi us se uTha nahin sakte
na-tawani si na-tawani hai
qad-e-mauzun ke ishq mein 'goya'
raat din shughl-e-sher-KHwani hai
(794) Peoples Rate This