Khol Di Hai Zulf Kis Ne Phul Se RuKHsar Par
khol di hai zulf kis ne phul se ruKHsar par
chha gai kali ghaTa si aan kar gulzar par
kya hi afshan hai jabin o abru-e-KHamdar par
hai charaghan aaj kabe ke dar o diwar par
naqsh-e-pa panch-shaKHa qabar par raushan karo
mar gaya hun main tumhaari garmi-e-raftar par
chashm-e-bad dur aaj hai ye kaun gul-ru jhankta
chashm-e-nargis ka hai aalam rauzan-e-diwar par
na-tawan ka bhala kis munh se main shikwa karun
KHal hai yan mahr KHamosh lab-e-guftar par
hum azal se intizar-e-yar mein soe nahin
aafrin kahiye hamare dida-e-bedar par
kufr apna ain din-dari hai gar samjhe koi
ijtima-e-subha yan mauquf hai zunnar par
Thokaren khaega ek din sar-kashi itni na kar
o sar-e-be-maghz kyun bhula hai is dastar par
zulf us ki apne haq mein dekhiye kahti hi kya
hai hamara faisla ab to zaban-e-mar par
gar chaman mein hum se be-bargon ko ja deti nahin
KHar ki manind biThla den sar-e-diwar par
hai agar irfan ka talib KHaksari kar shiar
dekhte hain aaine aksar laga diwar par
abru-o-mizhgan se us ke dekhen dil kyunkar bache
ab to naubat aa gai hai tir aur talwar par
intiha-e-ishq mein di jaan main ne is liye
lala ba-sad dagh ugta hai mere kohsar par
rabta gar ghair se ho yar ko chahun main
main na bulbul hun ki marta hun gul-e-be-e-KHar par
dil jala aisa hun mera nam le baiTha jo wo
paD gae chhaale zaban-e-murgh-e-atish-e-KHwar par
uTh ke but-KHane se masjid ko agar jaega tu
saikDon TuTengi tasbihen tere zunnar par
haif ku-e-yar tak pahunchi na meri ustuKHan
muddaton aa kar huma baiTha raha diwar par
sukh jaen gar hamari aablon ki chhagalen
pas se kanTe nazar aaen zaban-e-KHar par
baad murdan bhi hai baqi meri nalon ka asar
tar-e-mutrib ka hai aalam har kafan ki tar par
teri aab-e-tegh se zalim jo ho tufan bapa
maut taDpi misl-e-mahi gumbad-e-dawwar par
KHat use itne likhe main ne ki wan bhar jawab
baiThe rahte hain kabutar saikDon diwar par
hashr tak mumkin nahin ab chamki tegh-e-aftab
baDa rakhwata hai zalim maghribi talwar par
kafsh-e-pa ki gul dikha kar hans ke yun kahne laga
sair ko kyun jaun gulshan hai mere bezar par
dekhiyo zid mere murgh-e-nama-bar ke waste
qainchiyan lagwain hain be-rahm ne diwar par
yar ko malum hota hai hijr mein soya nahin
KHat likhun goya bayaz-e-dida-e-bedar par
(1032) Peoples Rate This