Hath Se Kuchh Na Tere Ai Mah-e-kanan Hoga
hath se kuchh na tere ai mah-e-kanan hoga
hath jo hoga to meri maut ka saman hoga
saqiya hijr mein mai-KHana bayaban hoga
daur-e-saghar bhi ram-e-chashm-e-ghazalan hoga
ai junun phir mujhe KHush aane lagi uryani
ab na daman hi rahega na gareban hoga
phir chalenge tera qad dekh ke gulzaron mein
phir har ek sarw-o-saman sarw-e-charaghan hoga
ghar mein dil phir mera ghabrane laga aap se aap
ai junun phir ye makan KHana-e-zindan hoga
phir KHush aati hai mere dil ko shab-e-mah ki sair
ishq phir chand se mukhDe ka do-chandan hoga
in dinon phir tujhe 'goya' jo hai chupki si lagi
phir irada taraf-e-mulk-e-KHamoshan hoga
(777) Peoples Rate This