Bhula Hai Baad-e-marg Mujhe Dost Yan Talak

bhula hai baad-e-marg mujhe dost yan talak

sag bhi na us ka aaya meri ustuKHan talak

go hum qafas se ja na sake bostan talak

uD uD ke rang-e-chehra gaya par wahan talak

bulbul hujum-e-gul hai chaman mein yahan talak

phulon se chha gaya hai tera aashiyan talak

kab pahunchi aah zoaf se gosh-e-butan talak

sau ja Thahar ke sine se aai zaban talak

parwaz pesh azin thi meri aasman talak

ab to chaman se ja na sakun aashiyan talak

aisa kiya zaif gham-e-intizar ne

aankhon ko meri bar hai KHwab-e-giran talak

aalim hun ilm-e-ishq ka main kar na ham-sari

ai andalib tu hai paDi bostan talak

us mah ke wasf se ye hua martaba buland

pahunchi meri ghazal ki zamin aasman talak

pas-e-adab raha hai junun mein bhi is qadar

aata hun sajde karta tere aastan talak

us mast ke hain gesuon ke silsile mein hum

saqi murid jis ka hai pir-e-mughan talak

rakkhen adab se panw na hum teri rah mein

bahar jab aap se hon to pahunchen wahan talak

fasl-e-KHizan mein gul ka to aana muhaal hai

bijli hi kash aae meri aashiyan talak

kyunkar na sar phire mera us tegh ke liye

gardish si justuju mein hai marg-e-nishan talak

sau bar apni fikr adam se pare gai

lekin na pahunchi yar ke mu-e-bayan talak

us hur ka makan hai jannat se bhi pare

rizwan pahunch sake na kabhi pasban talak

is darja fart-e-zoaf se hum pichhe rah gae

pahunchi na aah bhi jaras-e-karwan talak

dil mein hamare us ki mohabbat ne ghar kiya

pahuncha hai is makan se jo la-makan talak

allah re dimagh zara dekh ai huma

aaya na be-talab sag-e-yar ustuKHan talak

us mah ne jo sar mera Thukraya panw se

pahuncha dimagh aaj mera aasman talak

naKHl-e-murad-e-yar hua aaj barwar

sad shukr kaT ke sar mera pahuncha sinan talak

phir jae tir aa ke wo bargashta baKHt hun

ruKH phere dekh kar mujhe us ki kaman talak

marne ke baad hai sag-e-jaanan ka intizar

kah do huma na aae meri ustuKHan talak

sau bar aa ke maut bhi furqat mein phir gae

bargashtagi nasib ki kahiye kahan talak

'goya' ye na-tawani ka ehsan mujh pe hai

aane diya na yar ka shikwa zaban talak

(1000) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhula Hai Baad-e-marg Mujhe Dost Yan Talak In English By Famous Poet Goya Faqir Mohammad. Bhula Hai Baad-e-marg Mujhe Dost Yan Talak is written by Goya Faqir Mohammad. Read famous Poem Bhula Hai Baad-e-marg Mujhe Dost Yan Talak for youth and Student by Goya Faqir Mohammad. Free Download Bhula Hai Baad-e-marg Mujhe Dost Yan Talak in PDF.