Ulfat Ka Dard-e-gham Ka Parastar Kaun Hai
ulfat ka dard-e-gham ka parastar kaun hai
duniya mein aansuon ka talabgar kaun hai
KHushiyan chala hun banTne aansu sameT kar
uljhan hai mere samne haqdar kaun hai
zid par aDe hue hain ye dil bhi dimagh bhi
ab dekhna hai in mein asar-dar kaun hai
pahle talash kijiye manzil ki rahguzar
phir sochiye ki rah mein diwar kaun hai
kanon ko chhu ke guzri hai koi sada abhi
ye kaun aah bharta hai bimar kaun hai
is par main hun aur ye TuTi hui si naw
aawaz de raha hai jo us par kaun hai
(848) Peoples Rate This