Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e15a8576dd5ad01d1d47312e1894b0f8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sambhal Ke Rahiyega Ghusse Mein Chal Rahi Hai Hawa - Govind Gulshan Poetry In English - Darsaal

Sambhal Ke Rahiyega Ghusse Mein Chal Rahi Hai Hawa

sambhal ke rahiyega ghusse mein chal rahi hai hawa

mizaj garm hai mausam badal rahi hai hawa

wo jam barf se labrez hai magar us se

lipaT lipaT ke musalsal pighal rahi hai hawa

idhar to dhup hai bandish mein aur chhaton pe udhar

libas barf ka pahne Tahal rahi hai hawa

bujha rahi hai charaghon ko waqt se pahle

na jaane kis ke ishaaron pe chal rahi hai hawa

jo dil pe hath rakhoge to jaan jaoge

machal rahi hai barabar machal rahi hai hawa

main kah raha hun hawa hai to jal rahe hain charagh

wo kah rahe hain charaghon se jal rahi hai hawa

(1151) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sambhal Ke Rahiyega Ghusse Mein Chal Rahi Hai Hawa In English By Famous Poet Govind Gulshan. Sambhal Ke Rahiyega Ghusse Mein Chal Rahi Hai Hawa is written by Govind Gulshan. Read famous Poem Sambhal Ke Rahiyega Ghusse Mein Chal Rahi Hai Hawa for youth and Student by Govind Gulshan. Free Download Sambhal Ke Rahiyega Ghusse Mein Chal Rahi Hai Hawa in PDF.