Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d263aa08c3dd4c44a4b492dceed63659, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Rah-e-ulfat Mein Maqamat Purane Aae - Govind Gulshan Poetry In English - Darsaal

Rah-e-ulfat Mein Maqamat Purane Aae

rah-e-ulfat mein maqamat purane aae

tum na aae to mujhe yaad fasane aae

waqt-e-ruKHsat na diya sath zaban ne lekin

ashk ban kar meri aankhon mein tarane aae

raat ke waqt har ek samt the naqli suraj

sae the asl jo kirdar nibhane aae

waqt aata hi nahin lauT ke ye baat hai jhuT

meri aankhon mein kai guzre zamane aae

zindagi haar gai haar ka matam na kiya

aise lamhat to kitne hi na jaane aae

ghar mera jal gaya lekin ye tasalli hai mujhe

aag jo de ke gae aag bujhane aae

(922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-ulfat Mein Maqamat Purane Aae In English By Famous Poet Govind Gulshan. Rah-e-ulfat Mein Maqamat Purane Aae is written by Govind Gulshan. Read famous Poem Rah-e-ulfat Mein Maqamat Purane Aae for youth and Student by Govind Gulshan. Free Download Rah-e-ulfat Mein Maqamat Purane Aae in PDF.