Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_26d79fa4fb47908c0d9e5a3365113659, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Muntazir Aankhen Hain Meri Sham Se - Govind Gulshan Poetry In English - Darsaal

Muntazir Aankhen Hain Meri Sham Se

muntazir aankhen hain meri sham se

shama raushan hai tumhaare nam se

chhin leta hai sukun shohrat ka shauq

is liye hum rah gae gumnam se

sach ki KHatir jaan jati hai to jae

hum nahin Darte kisi anjam se

apne man ki baat ab kis se kahun

aaina naraaz hai kal sham se

kya ajab duniya hai ye duniya yahan

log milte hain magar bas kaam se

aisa kuchh ho jae dil TuTe nahin

sochiyega aap bhi aaram se

mujh se puchho aansuon ki barkaten

mutmain hun ranj-o-gham aalam se

(1526) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muntazir Aankhen Hain Meri Sham Se In English By Famous Poet Govind Gulshan. Muntazir Aankhen Hain Meri Sham Se is written by Govind Gulshan. Read famous Poem Muntazir Aankhen Hain Meri Sham Se for youth and Student by Govind Gulshan. Free Download Muntazir Aankhen Hain Meri Sham Se in PDF.