Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b72ca2dba0caee5915ad98a948a3f317, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
TaDap To Aaj Bhi Kuchh Kam Nahin Hai - Gorbachan Singh Dayal Maghmum Poetry In English - Darsaal

TaDap To Aaj Bhi Kuchh Kam Nahin Hai

taDap to aaj bhi kuchh kam nahin hai

magar ye chashm ab pur-nam nahin hai

hue jab fart-e-gham se KHushk aansu

wo ye samjhe ki mujh ko gham nahin hai

dhuan sa ek uTha karta hai dil mein

teri yaad aah ab bhi kam nahin hai

wo rahen bhi koi rahen hain yaro

ki jin mein koi pech-o-KHam nahin hai

rawan hun yun to ab bhi su-e-manzil

qadam uThte hain lekin dam nahin hai

bhala wo zindagi kya zindagi hai

KHushi ke sath jis mein gham nahin hai

hua KHamosh ye 'maghmum' kaise

hai na-mumkin ki us ko gham nahin hai

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TaDap To Aaj Bhi Kuchh Kam Nahin Hai In English By Famous Poet Gorbachan Singh Dayal Maghmum. TaDap To Aaj Bhi Kuchh Kam Nahin Hai is written by Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Read famous Poem TaDap To Aaj Bhi Kuchh Kam Nahin Hai for youth and Student by Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Free Download TaDap To Aaj Bhi Kuchh Kam Nahin Hai in PDF.