Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4715ea879372e5297f1d8a13279120d7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Mujhe Jine Ki Dua Di Hai - Gorbachan Singh Dayal Maghmum Poetry In English - Darsaal

Phir Mujhe Jine Ki Dua Di Hai

phir mujhe jine ki dua di hai

yani phir ek hasin saza di hai

zulm sah kar bhi hum ne zalim ke

hath chume hain aur dua di hai

kyun gila ho ki hum ko qudrat ne

ye kisi jurm ki saza di hai

shukriya tu ne ek Thokar se

ruh-e-KHwabida ek jaga di hai

husn ko kya KHabar ki KHud us ne

shoala-e-ishq ko hawa di hai

mausam-e-gul ne aa ke gulshan mein

jaane kya aag si laga di hai

hum ne daghon ke nur se 'maghmum'

raunaq-e-bazm-e-dil baDha di hai

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Mujhe Jine Ki Dua Di Hai In English By Famous Poet Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Phir Mujhe Jine Ki Dua Di Hai is written by Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Read famous Poem Phir Mujhe Jine Ki Dua Di Hai for youth and Student by Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Free Download Phir Mujhe Jine Ki Dua Di Hai in PDF.