Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin
gila kya karun ai falak bata mere haq mein jab ye jahan nahin
kahun kaise haal-e-dil un se main meri hilti tak ye zaban nahin
ye bhanwar hain bahr-e-hayat ke main hun KHasta-haal-o-shikasta-o-dil
meri Dagmagati hai naw ab kahin milta mujh ko karan nahin
tujhe DhunDun bhi to kahan ki jab hun main KHud hi zulmat-e-yas mein
mujhe bazm-e-hasti mein mil saka tere naqsh-e-pa ka nishan nahin
gham-e-dil hi mera nikal do meri zindagi se jo tum agar
to wo dastan hi kuchh aur hai mere haal-e-dil ka bayan nahin
main sunaun kis ko ye haal-e-dil main dikhaun kis ko ye dard-o-gham
main hun aisi haalat-e-zar mein ki KHud apna mujh ko guman nahin
nahin git baada-o-jam ke yahan aur hi koi baat hai
ki main jis bala mein hun mubtala wo bala-e-ishq-e-butan nahin
tu hai zarre zarre mein zau-fishan nahin milta phir bhi kahin nishan
koi 'shaghl' ab ye batae kya tu kahan hai aur kahan nahin
(1083) Peoples Rate This