Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c0030ae7c4837fc6991efdac41f96871, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Umiden To Wabasta Hain Abr-e-tar Se - Amn Lakhnvi Poetry In English - Darsaal

Umiden To Wabasta Hain Abr-e-tar Se

umiden to wabasta hain abr-e-tar se

jo barse to barse na barse na barse

jahan kya hai aur is ki ranginiyan kya

ye puchho kisi dida-e-haq-nigar se

zaban o dahan se jo khulte nahin hain

wo khul jate hain raaz aksar nazar se

mera rasta karwan se alag hai

guzarna hai ek manzil-e-pur-KHatar se

ye hai 'amn' insan ki pasti si pasti

gunah se bacha bhi to dozaKH ke Dar se

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umiden To Wabasta Hain Abr-e-tar Se In English By Famous Poet Amn Lakhnvi. Umiden To Wabasta Hain Abr-e-tar Se is written by Amn Lakhnvi. Read famous Poem Umiden To Wabasta Hain Abr-e-tar Se for youth and Student by Amn Lakhnvi. Free Download Umiden To Wabasta Hain Abr-e-tar Se in PDF.