Kaha Jhunjhla Ke Ahl-e-qafila Se Ek Rahbar Ne
kaha jhunjhla ke ahl-e-qafila se ek rahbar ne
abhi to pahli manzil hai abhi se kyun lage Darne
mukammal dastan ka iKHtisar itna hi kafi hai
sulaya shor-e-duniya ne jagaya shor-e-mahshar ne
sar-e-diwar-e-zindan chandni chhanti thi patton se
diya tha qaid mein kya lutf aisi shab ke manzar ne
zamane ki kashakash ka diya paiham pata mujh ko
kahin TuTe hue dil ne kahin TuTe hue sar ne
hain kitni muKHtalif baham tabae nasl insan ki
rahe mazur ab tak jo chale the tajziye karne
fida-e-rang-o-roghan sath-biin se kya gharaz us ko
jagah di jis ko chashm o dil mein har ek ahl-e-jauhar ne
(758) Peoples Rate This