Jab Chale Jaenge Hum LauT Ke Sawan Ki Tarah
jab chale jaenge hum lauT ke sawan ki tarah
yaad aaenge pratham pyar ke chumban ki tarah
zikr jis dam bhi chhiDa un ki gali mein mera
jaane sharmae wo kyun ganw ki dulhan ki tarah
mere ghar koi KHushi aati to kaise aati
umr-bhar sath raha dard mahajan ki tarah
koi kanghi na mili jis se sulajh pati wo
zindagi uljhi rahi bramha ke darshan ki tarah
dagh mujh mein hai ki tujhmen ye pata tab hoga
maut jab aaegi kapDe liye dhoban ki tarah
har kisi shaKHs ki qismat ka yahi hai qissa
aae raja ki tarah jae wo nirdhan ki tarah
jis mein insan ke dil ki na ho dhaDkan 'niraj'
shairi to hai wo aKHbar ke katran ki tarah
(1283) Peoples Rate This