Shab-tab
ye barasta hua mausam ye shab-e-tira-o-tar
kisi maddham se sitare ki ziya bhi to nahin
uff ye virani-e-mahaul ye virani-e-dil
aasmanon se kabhi nur bhi barsa hoga
barq-e-ilham bhi lahra gai hogi shayad
lekin ab dida-e-hasrat se su-e-arsh na dekh
ab wahan ek andhere ke siwa kuchh bhi nahin
dekh us farsh ko jo zulmat-e-shab ke ba-wasf
raushni se abhi mahrum nahin hain shayad
ek na ek zarra yahan ab bhi damakta hoga
koi jugnu kisi goshe mein chamakta hoga
ye zamin nur se mahrum nahin ho sakti
kisi jaan-baz ke mathe pe shahadat ka jalal
kisi majbur ke sine mein baghawat ki tarang
kisi doshiza ke honTon pe tabassum ki lakir
qalb-e-ushshaq mein mahbub se milne ki umang
dil-e-zuhhad mein na-karda gunahon ki KHalish
dil mein ek fahisha ke pahli mohabbat ka KHayal
kahin ehsas ka shoala hi farozan hoga
kahin afkar ki qindil hi raushan hogi
koi jugnu koi zarra to damakta hoga
ye zamin nur se mahrum nahin ho sakti
ye zamin nur se mahrum nahin ho sakti
(825) Peoples Rate This