Nazm
haqir o na-tawan tinka
hawa ke dosh par parran
samajhta tha ki bahr o bar pe meri hukmarani hai
magar jhonka hawa ka ek albela
talawwun-kesh
be-parwa
jab us ke ji mein aae ruKH palaT jae
hawa aaKHir hawa hai kab kisi ka sath deti hai
hawa to bewafa hai kab kisi ka sath deti hai
hawa palTi
bulandi ka fusun TuTa
haqir o na-tawan tinka
paDa hai KHak-e-pasti par
KHuda jaane koi rah-gir-e-be-parwa
jab apne panw se us ko masalta hai
to apna KHwab-e-azmat yaad kar ke us ke dil par kya guzarti hai
(950) Peoples Rate This