Ek Nazm
ba-zahir ajnabi ho tum
magar boson ki be-kaifi batati hai
ki ye wo zahr hai chakkha hai jis ko bar-ha main ne
na jaane jazb hai mere labon mein kitne ruKHsaron ki kaDwahaT
ye sab KHamyaza hai
us bosa-e-awwal ka dil bhula nahin jis ki halawat ko
main us ko bar-ha samjha chuka hun
mazi-e-marhum ka matam to kar sakte hain, wapas la nahin sakte
magar dil, dil hai is ko kaun samjhae
yaqin hai aaj tak us lamha-e-awwal ki is ko bazyabi ka
asir-e-wahm hai itna
guman hone laga hai reg-e-sahra par bhi pani ka
ise diwangi kah lo
faraaz-e-tishnagi samjho
(737) Peoples Rate This