Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4684e14957c3613bee8b493b0cf3601a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zaban Raqs Mein Hai Aur Jhumta Hun Main - Gopal Mittal Poetry In English - Darsaal

Zaban Raqs Mein Hai Aur Jhumta Hun Main

zaban raqs mein hai aur jhumta hun main

ki dastan-e-mohabbat suna raha hun main

na puchh mujh se meri be-KHudi ka afsana

kisi ki mast-nigahi ka majra hun main

kahan ka zabt-e-mohabbat kahan ki tasiren

tasalliyan dil-e-muztar ko de raha hun main

phir ek shola-e-pur-pech-o-tab bhaDkega

ki chand tinkon ko tartib de raha hun main

tumhaare ishq mein miT kar tumhein dikha dunga

nigah-e-naz ka iman samajh gaya hun main

(1110) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Raqs Mein Hai Aur Jhumta Hun Main In English By Famous Poet Gopal Mittal. Zaban Raqs Mein Hai Aur Jhumta Hun Main is written by Gopal Mittal. Read famous Poem Zaban Raqs Mein Hai Aur Jhumta Hun Main for youth and Student by Gopal Mittal. Free Download Zaban Raqs Mein Hai Aur Jhumta Hun Main in PDF.