Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_603db7fe6dbd4802506d7fbf950d5944, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Usne Mail-ba-karam Ho Ke Bulaya Hai Mujhe - Gopal Mittal Poetry In English - Darsaal

Usne Mail-ba-karam Ho Ke Bulaya Hai Mujhe

us ne mail-ba-karam ho ke bulaya hai mujhe

aaj phir dil ne ye afsana sunaya hai mujhe

sard-mehri pe bhi hota hai tawajjoh ka guman

is tarah us ne tawaqqoa pe lagaya hai mujhe

yun to fitrat mein bhi aashufta-mizaji thi meri

asl mein aap ne diwana banaya hai mujhe

parda-dari thi use rabt-e-nihan ki manzur

bazm mein apni bahut dur biThaya hai mujhe

ye mere zoam-e-bulandi ki saza hai shayad

us ne kuchh soch ke nazron se giraya hai mujhe

(1096) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usne Mail-ba-karam Ho Ke Bulaya Hai Mujhe In English By Famous Poet Gopal Mittal. Usne Mail-ba-karam Ho Ke Bulaya Hai Mujhe is written by Gopal Mittal. Read famous Poem Usne Mail-ba-karam Ho Ke Bulaya Hai Mujhe for youth and Student by Gopal Mittal. Free Download Usne Mail-ba-karam Ho Ke Bulaya Hai Mujhe in PDF.