Swang Ab Tark-e-mohabbat Ka Rachaya Jae
swang ab tark-e-mohabbat ka rachaya jae
us ke pindar ko aaina dikhaya jae
waza-dari-e-mohabbat ke munafi hai to ho
aaj collar pe naya phul sajaya jae
sher mein tazkira-e-dasht-o-bayaban ho magar
ek baDe shahr mein ghar apna basaya jae
balcony wo kai din se hai viran yaro
us gali mein koi hangama uThaya jae
sar ye kahta hai gawara nahin ab barish-e-sang
dil ye kahta hai usi kuche mein jaya jae
hum hi pichhe rahen kyun dawa-e-jaan-bazi mein
kya zaruri hai ki mar kar bhi dikhaya jae
shairi mein na raha jazba-o-ehsas ko daKHl
ab use qaum ki KHidmat pe lagaya jae
(913) Peoples Rate This