Jo Shua-e-lab Hai Mauj-e-nau-bahaar-e-naghma Hai
jo shua-e-lab hai mauj-e-nau-bahaar-e-naghma hai
KHamushi bhi aap ki aaina-dar-e-naghma hai
gosh ek muddat se mahrum-e-samaat hai magar
dil ajab nadan hai ab tak e'tibar-e-naghma hai
farq ye hai nutq ke sanche mein Dhal sakta nahin
warna jo aansu hai durr-e-shah-war-e-naghma hai
munkir-e-saz-e-masarrat hun to kafir hun magar
ham-nafas mizrab-e-gham par inhisar-e-naghma hai
ai ki shikwa tha tujhe sangin-mizaji ka meri
dekh is patthar mein bhi mauj-e-sharar-e-naghma hai
(778) Peoples Rate This