Daur-e-falak Ke Shikwe Gile Rozgar Ke
daur-e-falak ke shikwe gile rozgar ke
hain mashghale yahi dil-e-na-karda-kar ke
yun dil ko chheD kar nigah-e-naz jhuk gai
chhup jae koi jaise kisi ko pukar ke
sine ko apne apna gareban bana ke hum
qael nahin hain pairahan-e-tar-tar ke
kya kijiye kashish hai kuchh aisi gunah mein
main warna yun fareb mein aata bahaar ke
ek dil aur us pe hasrat-e-arman ka ye hujum
kya kya karam hain mujh pe mere kard-gar ke
hum ko to roz-e-hashr ka bhi kuchh yaqin nahin
kya muntazir hun wada-e-farda-e-yar ke
kis dil se tera shikwa-e-bedad kar saken
mare hue hain hum nigah-e-sharmsar ke
(809) Peoples Rate This