Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9d132bf73aab23784e35fd809af33263, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Apne Anjam Se Darta Hun Main - Gopal Mittal Poetry In English - Darsaal

Apne Anjam Se Darta Hun Main

apne anjam se Darta hun main

dil dhaDakta hai ki sachcha hun main

mera saqi hai baDa dariya-dil

phir bhi pyasa hun ki sahra hun main

aur kis ko ho mere zahr ki tab

apne hi aap ko Dasta hun main

kyun karun pairwi-e-gautam o qais

jab bhare ghar mein bhi tanha hun main

tha wo kuchh hum se ziyaada hi mariz

jis ka dawa tha masiha hun main

kya nahin hai koi mai hosh-gudaz

jitni pita hun sambhalta hun main

(841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Anjam Se Darta Hun Main In English By Famous Poet Gopal Mittal. Apne Anjam Se Darta Hun Main is written by Gopal Mittal. Read famous Poem Apne Anjam Se Darta Hun Main for youth and Student by Gopal Mittal. Free Download Apne Anjam Se Darta Hun Main in PDF.