Kya Bataun Aaj Wo Mujhse Juda Kyunkar Hua
kya bataun aaj wo mujh se juda kyunkar hua
muddaton ka aashna na-ashna kyunkar hua
tere har naqsh-e-qadam par jis ne sajda kar diya
teri nazron mein bhala wo bewafa kyunkar hua
meri barbaadi mein jis ka hath tha wo fitna-gar
puchhta hai ab mujhe ye hadisa kyunkar hua
jis ke hathon ne jalaya gulistan ka gulistan
is ka ghar bhi jal gaya to phir bura kyunkar hua
aadmi to aadmi ka tha sharik-e-ranj-o-gham
munqata phir aaj-kal ye silsila kyunkar hua
jis ki rahmat chand logon ke liye maKHsus ho
hoga kuchh logon ka wo sab ka KHuda kyunkar hua
jab teri nazren lagi hain kausar-o-tasnim par
phir bata shaiKH-e-haram tu parsa kyunkar hua
dar par laTka diye jate hain haq-go ai 'shafaq'
haq ko haq kahne ka tujh ko hausla kyunkar hua
(932) Peoples Rate This