Mere Par Na Bandho
paron ko mere tum na resham ki Dori se bandho
na kaTo inhen tum
ki mujh ko bhi uDne do unchi uDan
main titli hun aisi
ki jis ke paron se
chamakti jhamakti hain
rangon ki maujen
ye maujen meri rah ki mishalen ban gai hain
miTaengi jo teri meri tera shabon ki
dhundalke miTaengi subhon ke meri
paron ko mere tum na resham ki Dori se bandho
na kaTo inhen tum
ki un hi sunahri paron ke sahaare
mujhe par karna hai is raegan dasht ko
aur KHayalon ke aise jazire mein jaana hai
jis tak kisi ki rasai bhi mumkin nahin hai
mere waste jo hamesha se nadidani hai
magar main ne baKHshe hain us ko KHayalon ke rangin paikar
utarna hai us des mein
jis ke phulon ki KHushbu
meri muntazir hai
rangon ke paikar mere muntazir hain
mujhe DhunDte hain
wahan andalibon ke naghme
usi des mein
kitni nau-KHez kaliyon ke rangin-badan mein machalti hui
kitni munh-zor KHushbuen
band-e-qaba toDne ko hain bechain
sab istiare mere waste hain nai zindagi ke
bulate hain mujh ko
paron ko mere tum na resham ki Dori se bandho
na kaTo inhen tum
(859) Peoples Rate This