Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_93cc18a4a4661b32f85f86d3976f44f9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wahi Sahil Wahi Manjdhaar Mujhko - Ghulam Murtaza Rahi Poetry In English - Darsaal

Wahi Sahil Wahi Manjdhaar Mujhko

wahi sahil wahi manjdhaar mujh ko

banaya us ne khewan-haar mujh ko

zaban ki dhaar se dekha mila kar

lagi kuchh tez kam talwar mujh ko

biTha rakkha mujhe sae mein jis ne

girani thi wahi diwar mujh ko

jinhen hai naz apne faslon par

pakaDne den zara raftar mujh ko

kabhi hoti na phir laDne ki himmat

mili ab tak na aisi haar mujh ko

kisi ne bhej kar kaghaz ki kashti

bulaya hai samundar par mujh ko

kabhi Dubi na teri naw 'rahi'

sikhaya tairna be-kar mujh ko

(690) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Sahil Wahi Manjdhaar Mujhko In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Wahi Sahil Wahi Manjdhaar Mujhko is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Wahi Sahil Wahi Manjdhaar Mujhko for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Wahi Sahil Wahi Manjdhaar Mujhko in PDF.