Thahar Thahar Ke Mera Intizar Karta Chal

Thahar Thahar ke mera intizar karta chal

ye saKHt-rah bhi ab iKHtiyar karta chal

safar ki raat hai har gam ehtiyat barat

palaT palaT ke andheron pe war karta chal

liye ja kaam tu apni firaKH-dasti se

qadam qadam pe mujhe zer-e-bar karta chal

idhar udhar jo khaDe ho gae hain tere liye

unhen bhi apne safar mein shumar karta chal

kisi Thikane pe tujh ko agar pahunchna hai

to naqsh-e-pa ka mere e'tibar karta chal

na khinch dasht o jabal bahr o bar se qadmon ko

ye sab rukawaTen hain in ko par karta chal

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thahar Thahar Ke Mera Intizar Karta Chal In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Thahar Thahar Ke Mera Intizar Karta Chal is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Thahar Thahar Ke Mera Intizar Karta Chal for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Thahar Thahar Ke Mera Intizar Karta Chal in PDF.