Shakl Sahra Ki Hamesha Jaani-pahchani Rahe
shakl sahra ki hamesha jaani-pahchani rahe
mere aage pichhe daen baen virani rahe
sari samten aa ke jis markaz pe ho jati hain ek
KHam usi jaanib hamesha meri peshani rahe
aage aage main tera parcham liye chalta rahun
arz-e-dil par mere qaem teri sultani rahe
raushni ko ho meri aisa koi maKHaz ata
zarra-e-nachiz mein din raat tabani rahe
neza-o-shamshir-o-KHanjar ki agar ifraat hai
KHun ki bhi meri rag rag mein farawani rahe
meri kashti ko Dubo kar chain se baiThe na tu
ai mere dariya! hamesha tujh mein tughyani rahe
ab tajawuz ban gaya mamul warna muddaton
apni apni had mein shahri aur bayabani rahe
(764) Peoples Rate This