Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a4ed1b512aee4d90e521ee390d98c822, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Past-o-buland Mein Jo Tujhe Rishta Chahiye - Ghulam Murtaza Rahi Poetry In English - Darsaal

Past-o-buland Mein Jo Tujhe Rishta Chahiye

past-o-buland mein jo tujhe rishta chahiye

milne ko tujh se chhat pe mujhe zina chahiye

ye kaun aa gaya hai mere us ke darmiyan

diwar hai to us mein mujhe raKHna chahiye

tamir ke liye mujhe darkar ek umr

taKHrib ke liye mujhe ek lamha chahiye

yaron ne meri rah mein diwar khinch kar

mashhur kar diya ki mujhe saya chahiye

milne ka ab nahin jo kisi bhi dukan mein

hindostan ka mujhe wo naqsha chahiye

(696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Past-o-buland Mein Jo Tujhe Rishta Chahiye In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Past-o-buland Mein Jo Tujhe Rishta Chahiye is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Past-o-buland Mein Jo Tujhe Rishta Chahiye for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Past-o-buland Mein Jo Tujhe Rishta Chahiye in PDF.