Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f0bee693b064d07e0bef180c08c512d2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nayab Chiz Kaun Si Bazar Mein Nahin - Ghulam Murtaza Rahi Poetry In English - Darsaal

Nayab Chiz Kaun Si Bazar Mein Nahin

nayab chiz kaun si bazar mein nahin

lekin main un ke chand KHaridar mein nahin

chhu kar bulandiyon ko palaTna hai ab mujhe

khane ko mere ghas bhi kohsar mein nahin

aata tha jis ko dekh ke taswir ka KHayal

ab to wo kil bhi meri diwar mein nahin

irfan-o-agahi ki ye hum kis hawa mein hain

jumbish tak us ke parda-e-asrar mein nahin

ugla sa mujh mein shauq-e-shahadat nahin agar

pahli si kaT bhi teri talwar mein nahin

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nayab Chiz Kaun Si Bazar Mein Nahin In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Nayab Chiz Kaun Si Bazar Mein Nahin is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Nayab Chiz Kaun Si Bazar Mein Nahin for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Nayab Chiz Kaun Si Bazar Mein Nahin in PDF.