Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d76db584f6876b8d4975b81a717b3c95, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mili Rah Wo Ki Farar Ka Na Pata Chala - Ghulam Murtaza Rahi Poetry In English - Darsaal

Mili Rah Wo Ki Farar Ka Na Pata Chala

mili rah wo ki farar ka na pata chala

uDa sang se to sharar ka na pata chala

jo khinche khinche mujhe lag rahe the yahan wahan

kisi ek aise hisar ka na pata chala

raha jate jate na dekh sakne ka gham hamein

wo ghubar uTha ki sawar ka na pata chala

rahi hijr mein jo ek ek pal ki KHabar mujhe

to visal mein shab-e-tar ka na pata chala

kai mausamon se talash mein hai meri nazar

kisi gulsitan se bahaar ka na pata chala

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mili Rah Wo Ki Farar Ka Na Pata Chala In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Mili Rah Wo Ki Farar Ka Na Pata Chala is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Mili Rah Wo Ki Farar Ka Na Pata Chala for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Mili Rah Wo Ki Farar Ka Na Pata Chala in PDF.