Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2aea54061afd09712018441ce5fa960a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Sifat Ka Jab Usne Etiraf Kiya - Ghulam Murtaza Rahi Poetry In English - Darsaal

Meri Sifat Ka Jab Usne Etiraf Kiya

meri sifat ka jab us ne e'tiraf kiya

bajae chehra ke aaina main ne saf kiya

chhupa tha hira koi raste ke patthar mein

hamari Thokaron ne is ka inkishaf kiya

muwafaqat mein chali thi mere safine ki

hawa ne bich samundar mein iKHtilaf kiya

guhar bana ke sadaf ne use nikala hai

kabhi jo bund ne dariya se inhiraf kiya

zamin ghumti hai jaise apne mehwar par

KHud apni zat ka main ne yun hi tawaf kiya

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Sifat Ka Jab Usne Etiraf Kiya In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Meri Sifat Ka Jab Usne Etiraf Kiya is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Meri Sifat Ka Jab Usne Etiraf Kiya for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Meri Sifat Ka Jab Usne Etiraf Kiya in PDF.