Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0bc434b8b13c5575751f6886d63c7b69, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Giraft Mein Hai Taer-e-KHayal Mera - Ghulam Murtaza Rahi Poetry In English - Darsaal

Meri Giraft Mein Hai Taer-e-KHayal Mera

meri giraft mein hai taer-e-KHayal mera

magar uDae liye ja raha hai jal mera

yaqin itna nahin mera jitna nabz ka hai

meri zaban se sunta nahin wo haal mera

kamal ki wo imarat meri hui mismar

khanDar ki shakl mein baqi raha zawal mera

faza mein jhonk de aandhi ke baad pani bhi

uDai KHak to ab KHun bhi uchhaal mera

zaban apni badalne pe koi raazi nahin

wahi jawab hai us ka wahi sawal mera

main sar kiye hue baiTha hun ek nai choTi

kuchh aur fasle se dekh ab kamal mera

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Giraft Mein Hai Taer-e-KHayal Mera In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Meri Giraft Mein Hai Taer-e-KHayal Mera is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Meri Giraft Mein Hai Taer-e-KHayal Mera for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Meri Giraft Mein Hai Taer-e-KHayal Mera in PDF.