Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b232d39f9291c09993c4657b420bbc77, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Lab Tak Jo Na Aai Wo Dua Kaisi Thi - Ghulam Murtaza Rahi Poetry In English - Darsaal

Mere Lab Tak Jo Na Aai Wo Dua Kaisi Thi

mere lab tak jo na aai wo dua kaisi thi

jaane is rah mein marzi-e-KHuda kaisi thi

jis ko hangama-e-hasti ne ubharne na diya

jis ko hum sun nahin pae wo sada kaisi thi

mera aaina-e-ehsas shikasta tha agar

surat-e-haal meri tu hi bata kaisi thi

ab jo aazad hue hain to KHayal aaya hai

ki hamein qaid bhali thi to saza kaisi thi

lahlahata tha mere dil ka ilaqa 'rahi'

jaane us waqt yahan aab-o-hawa kaisi thi

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Lab Tak Jo Na Aai Wo Dua Kaisi Thi In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Mere Lab Tak Jo Na Aai Wo Dua Kaisi Thi is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Mere Lab Tak Jo Na Aai Wo Dua Kaisi Thi for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Mere Lab Tak Jo Na Aai Wo Dua Kaisi Thi in PDF.