Kahin Kahin Se Pur-asrar Ho Liya Jae
kahin kahin se pur-asrar ho liya jae
ki apne haq mein bhi hamwar ho liya jae
wo jis ne zaKHm lagae rakhega marham bhi
usi ka dil se taraf-dar ho liya jae
yahi hai nind ka mansha ki KHwab-e-ghaflat se
sahih waqt pe bedar ho liya jae
girah-kushai-e-mauj-e-nafas bahana hai
ki is bahane se us par ho liya jae
kisi ki rah mein aane ki ye bhi surat hai
ki saya ke liye diwar ho liya jae
(813) Peoples Rate This