Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4140062acbce3d52a9857f7ffac5376e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Mujh Pe Bhaari Hui Ek Raat Achchhi Tarah - Ghulam Murtaza Rahi Poetry In English - Darsaal

Jo Mujh Pe Bhaari Hui Ek Raat Achchhi Tarah

jo mujh pe bhaari hui ek raat achchhi tarah

to phir guzar bhi gae sanehat achchhi tarah

main bar bar giraya gaya bulandi se

mujhe to ho gaya hasil sabaat achchhi tarah

kitab sa mera chehra teri nigah mein hai

bayan kar meri zat o sifat achchhi tarah

tu apne sine se mujh ko yun hi lagae rakh

samajh lun ta-ki tere dil ki baat achchhi tarah

tujhe banaya gaya hai jo ashraf-ul-maKHluq

samo ke zat mein rakh kaenat achchhi tarah

kisi ne zahr mila kar na de diya ho tujhe

main chakh to lun tere qand o nabaat achchhi tarah

(635) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Mujh Pe Bhaari Hui Ek Raat Achchhi Tarah In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Jo Mujh Pe Bhaari Hui Ek Raat Achchhi Tarah is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Jo Mujh Pe Bhaari Hui Ek Raat Achchhi Tarah for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Jo Mujh Pe Bhaari Hui Ek Raat Achchhi Tarah in PDF.