Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f8e2a5ae249a929120b368ed3f760dbd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jhalakti Hai Meri Aankhon Mein Bedari Si Koi - Ghulam Murtaza Rahi Poetry In English - Darsaal

Jhalakti Hai Meri Aankhon Mein Bedari Si Koi

jhalakti hai meri aankhon mein bedari si koi

dabi hai jaise KHakistar mein chingari si koi

taDapta tilmilata rahta hun dariya ki manind

paDi hai zarb ehsasat par kari si koi

na jaane qaid mein hun ya hifazat mein kisi ki

khinchi hai har taraf ek chaar diwari si koi

kisi bhi moD se mera guzar mushkil nahin hai

mere pairon tale rahti hai hamwari si koi

guman hone laga jab se mujhe qad-awari ka

chala karti hai mere panw par aari si koi

kisi mahfil kisi tanhai mein rukna hai mushkil

mujhe khinche liye jati hai be-zari si koi

(685) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Jhalakti Hai Meri Aankhon Mein Bedari Si Koi In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Jhalakti Hai Meri Aankhon Mein Bedari Si Koi is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Jhalakti Hai Meri Aankhon Mein Bedari Si Koi for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Jhalakti Hai Meri Aankhon Mein Bedari Si Koi in PDF.