Unche Darje Ka Sailab
zamin ka husn sabza hai
magar ab sabz pate zard ho kar jhaDte jate hain
bahaaren dair se aati hain
jugnu hai na titli KHushbuon se rang ruThe hain
jahan jangal hua karte the aur barish dhanak le kar utarti thi
jahan barsat mein koyal, papihe chahchahate the
wahan ab KHak uDti hai
daraKHton ki kami se aa gai hai dhup mein shiddat
faza ka mehrban haala pighalta ja raha hai
aasman tanbe mein Dhalta ja raha hai
is liye be-mehr mausam ab satate hain
dhuen ke, gard ke, aaludgi ke, shor ke mausam
gali, kuchon, gharon mein kar-KHanon mein bas ab
saDak par shor bahta hai
sunai hi nahin deta hamara dil jo kahta hai
mohabbat ka parinda aaj-kal KHamosh rahta hai
parinde pyas mein Dube hain aur pani nahin pite
ki dariyaon ki shiryanon mein ab shaffaf pani ki jagah aaludgi ka zahr hai
hamein jab bahr o bar ki hukmarani di gai hai to ye hum ko sochna hoga
zaminon, paniyon, mahaul ki bimariyon ka koi mudawa hai
kahin in ka sabab hum to nahin bante?
sabab koi bhi ho aaKHir mudawa kuchh to karna hai
ye taswir-e-jahan hai rang is mein hum ko bharna hai
(961) Peoples Rate This