Atlantic City
zamin-e-nur o naghma par
KHuda-e-rang ke bikhre hue jalwaon ko pahchanen
use samjhen use jaanen
yaqin aa jae to manen
yahan to kahkashan muTThi mein hai
lal-o-jawahir pairahan par hain shuaon ke kai dhabbe har ek ujle badan par hain
yahan rangin mashinen daeron mein jhuk ke milti hain
kisi se ruTh jate hain kisi ke sath chalte hain
yahan ke samri goyai le lete hain
aur palkon pe hairat ke dariche khol dete hain
yahan har nafa ke KHane mein poshida KHasara hai
fusun kam ho to phir bahar ka har manzar hamara hai
jise hum chand samjhe hain bhaTakta sa sitara hai
yahi suraj se jita hai yahi jugnu se haara hai
ye fitrat ka ishaara hai
chalo tanwir-shah! uTTho
(911) Peoples Rate This