Zehn Mein Daere Se Banata Raha Dur Hi Dur Se Muskuraata Raha

zehn mein daere se banata raha dur hi dur se muskuraata raha

main samundar nahin chand ko ilm hai raat bhar phir bhi mujh ko bulata raha

aankh mein KHema-zan nil-gun wusaten apna pahla qadam hi KHalaon mein hai

jo jafa ke jazira-numaon mein hai dil ka us KHak-e-KHasta se nata raha

kaj-adai ki chadar se munh Dhanp kar sone wala sar-e-sham hi so gaya

KHushk yaadon ke patton bhare khet mein sanp sa raat bhar sarsaraata raha

der tak zard aandhi si chalti rahi sans bujhti rahi shama jalti rahi

jaan pighalti rahi raat Dhalti rahi main na ruTha magar wo manata raha

an-suni si sadaon ke ghere mein tha dekhte dekhte ghup andhere mein tha

wo mujhe pa ke duniya ke baKHshe hue sab ke sab khoTe sikke chalata raha

aazmaish mein hai wo ghaDi id ki chand ne jis ke aane ki taid ki

ek phaTe pairahan par pasine ki tah ek ghar KHushbuon mein nahata raha

(988) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zehn Mein Daere Se Banata Raha Dur Hi Dur Se Muskuraata Raha In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Zehn Mein Daere Se Banata Raha Dur Hi Dur Se Muskuraata Raha is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Zehn Mein Daere Se Banata Raha Dur Hi Dur Se Muskuraata Raha for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Zehn Mein Daere Se Banata Raha Dur Hi Dur Se Muskuraata Raha in PDF.