Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_69a0ed4ba4a770fd450189249a57d8ed, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yaad Ashkon Mein Baha Di Humne - Ghulam Mohammad Qasir Poetry In English - Darsaal

Yaad Ashkon Mein Baha Di Humne

yaad ashkon mein baha di hum ne

aa ki har baat bhula di hum ne

gulshan-e-dil se guzarne ke liye

gham ko raftar-e-saba di hum ne

ab usi aag mein jalte hain jise

apne daman se hawa di hum ne

din andheron ki talab mein guzra

raat ko shama jala di hum ne

rah-guzar bajti hai pael ki tarah

kis ki aahaT ko sada di hum ne

qasr-e-maani ke makin the phir bhi

tai na ki lafz ki wadi hum ne

gham ki tashrih bahut mushkil thi

apni taswir dikha di hum ne

(1595) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Ashkon Mein Baha Di Humne In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Yaad Ashkon Mein Baha Di Humne is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Yaad Ashkon Mein Baha Di Humne for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Yaad Ashkon Mein Baha Di Humne in PDF.