Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b0abb574c123dd58eabb2fc004b202ef, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sote Hain Wo Aaina Le Kar KHwabon Mein Baal Banate Hain - Ghulam Mohammad Qasir Poetry In English - Darsaal

Sote Hain Wo Aaina Le Kar KHwabon Mein Baal Banate Hain

sote hain wo aaina le kar KHwabon mein baal banate hain

sada se parinde ki KHatir kya reshmi jal banate hain

ummid ki sukhti shaKHon se sare patte jhaD jaenge

is KHauf se apni taswiren hum sal-ba-sal banate hain

zaKHmon ko chhupane ki KHatir kapDe hi badalna chhoD diya

puchho to sahi hum kis ke liye apna ye haal banate hain

wo bolti aankhen milte hi jhuk jati hain KHamoshi se

hum un ke jawab se phir apna ek aur sawal banate hain

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sote Hain Wo Aaina Le Kar KHwabon Mein Baal Banate Hain In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Sote Hain Wo Aaina Le Kar KHwabon Mein Baal Banate Hain is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Sote Hain Wo Aaina Le Kar KHwabon Mein Baal Banate Hain for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Sote Hain Wo Aaina Le Kar KHwabon Mein Baal Banate Hain in PDF.