Shauq Barhana-pa Chalta Tha Aur Raste Pathrile The
shauq barhana-pa chalta tha aur raste pathrile the
ghiste ghiste ghis gae aaKHir kankar jo nokile the
KHar-e-chaman the shabnam shabnam phul bhi sare gile the
shaKH se TuT ke girne wale patte phir bhi pile the
sard hawaon se to the sahil ke ret ke yarane
lu ke thapeDe sahne wale sahraon ke Tile the
tabinda taron ka tohfa subh ki KHidmat mein pahuncha
raat ne chand ki nazr kiye jo tare kam chamkile the
sare sapere viranon mein ghum rahe hain bin liye
aabaadi mein rahne wale sanp baDe zahrile the
tum yun hi naraaz hue ho warna mai-KHane ka pata
hum ne har us shaKHs se puchha jis ke nain nashile the
kaun ghulam mohammad 'qasir' bechaare se karta baat
ye chaalakon ki basti thi aur hazrat sharmile the
(1388) Peoples Rate This