Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0504b7a23f837522e1763a3c07ead744, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sab Rang Na-tamam Hon Halka Libas Ho - Ghulam Mohammad Qasir Poetry In English - Darsaal

Sab Rang Na-tamam Hon Halka Libas Ho

sab rang na-tamam hon halka libas ho

shaffaf paniyon pe kanwal ka libas ho

ashkon se bun ke marsiya pahna diya gaya

ab zindagi ke tan pe ghazal ka libas ho

har ek aadmi ko mile KHilat-e-bashar

har ek jhonpaDi pe mahal ka libas ho

sun le jo aane wale zamane ki aahaTen

kaise kahe ki aaj bhi kal ka libas ho

ya rab kisi sadi ke ufuq par Thahar na jae

ek aisi subh jis ka dhundalka libas ho

ujla rahega sirf mohabbat ke jism par

sadiyon ka pairahan ho ki pal ka libas ho

(999) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Rang Na-tamam Hon Halka Libas Ho In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Sab Rang Na-tamam Hon Halka Libas Ho is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Sab Rang Na-tamam Hon Halka Libas Ho for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Sab Rang Na-tamam Hon Halka Libas Ho in PDF.