Raat Uske Samne Mere Siwa Bhi Main Hi Tha
raat us ke samne mere siwa bhi main hi tha
sab se pahle main gaya tha dusra bhi main hi tha
main muKHalif samt mein chalta raha hun umr bhar
aur jo us tak gaya wo rasta bhi main hi tha
sab se kaT kar rah gaya KHud main simaT kar rah gaya
silsila TuTa kahan se sochta bhi main hi tha
sab se achchha kah ke us ne mujh ko ruKHsat kar diya
jab yahan aaya to phir sab se bura bhi main hi tha
waqt ke mehrab mein jo be-sabab jalta raha
raat ne mujh ko bataya wo diya bhi main hi tha
KHud se milne ki tamanna par zawal aane ke baad
wo samajhta hai ki us ka aaina bhi main hi tha
(886) Peoples Rate This